Jaun Elia Poetry Collection

Abhi farmaan aya hai wahan se,
Ke hatt jaaon main apne darmiyaan se,

Yahan jo hai tanaffus hi main gum hai,
Parinde urr rahe hian shakh-e-jaan se,
Daricha baaz hai yadon ka aur main,
Havaa sunta hoon peirron ki zubaan se,
Zamana tha woh dil ki zindagi ka,
Teri furqat ka din laaun kahan se,
Tha ab tak maarka bahar ka darpesh,
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se,
Falaaa’n se thi ghazal behtar falaaa’n ki,
Falaaa’n ke zakhm ache they falaaa’n se,
Khabar kya doon main shehr-e-raftagaan ki,
Koi lautte bhi shehr-e-raftagan se,
Yehi anjaam kya tujh ko havass tha,
Koi puche to meer-e-daastan se..
 
 -------------------------------------------------------------------------
 
Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..
 
 -------------------------------------------------------------------------
 
Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..
 
 -------------------------------------------------------------------------
 
Yoon jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta hai aasman main kya,
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan main kya..
 
 -------------------------------------------------------------------------
 
Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,
Meri tanhai mein, khawbon ke siwa kuch bi nahin,
Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,
Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin..
 
 
Kaisa dil aur uske kya gham jee,
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,
Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,
Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam jee,
Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham jee,
Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,
Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,
Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam jee,
Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,
Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam jee,
Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam jee,
Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham jee,
Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham jee,
Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…
 
 -------------------------------------------------------------------------
 
Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din

 -------------------------------------------------------------------------
 
Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main,
Ik bar apne aap mein aaon to aaon main,
Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai,
Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main,
Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin,
Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main,
Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi,
Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main,
Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer,
Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main,
Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot,
Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main,
Phir is gali se apna guzar chahta hai dil,
Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main..
 
 
-------------------------------------------------------------------------
 
 
 
 
 
 
 
Previous
Next Post »

ConversionConversion EmoticonEmoticon

Note: Only a member of this blog may post a comment.