JAUN ELIA POETRY IN ROMAN URDU
Main raha umar bhar juda khud se
Yaad main khud ko umar bhar aya
Yaad main khud ko umar bhar aya
Ab jo rishton main bandha hun tou khula hai mujh pe
Kab parind urr nahi paatay hain paron k hotay
*****
Halat-e-wasal main bhi hum dono
Lamha Lamha judai karty hain
*****
Ab to har baat yaad rehti hai
Ghaliban main kisi ko bhool gaya
*****
Ab kisi se mera hisab nahi
Meri ankhon main koi khawab nahi
Mil rahi ho bare tappak k sath
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
*****
Kyun na ho naaz is zahant par
Aik main har kisi ko bhool gaya
*****
Dil main ab soz-e-intzar nahi
Shama-e-umeed bhuj gai ho kya
*****
Meri har baat be-asar hi rahi
Nuqs hai kuch meray bayan main kya
Ye mujhy chain kyun ni parta
Ek hi shakhs tha jahan main kya
*****
Main ab har shakhs se ukta gaya hoon
Faqat kuch dost hain aur dost bhi kya
*****
Tou kya such much judai mujh se kar li
Tou khud apne aap ko aadha kar lia kya
*****
Jan-leva thin khawaishen warna
Wasal se intzar acha tha
*****
Mujhko khawaish hi dhoondnay ki na thi
Mujh main khoya raha khuda mera
*****
Apne mayyar tak na pohncha main
Mujhko khud par bara bharosa tha
ConversionConversion EmoticonEmoticon
Note: Only a member of this blog may post a comment.