Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein
Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein
Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein
Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein
Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein
 
 ------------------------------------------------------------------------------------
 
Thi Gar Aanay Mein Maslihat Haail
Yaad Aana Koi Zaroori Tha ?
Dekhiye Ho Gayi Ghalat-Fehmi
Muskuraana Koi Zaroori Tha ?
Lijiye Baat Hee Na Yaad Rahi
Gungunaana Koi Zaroori Tha ?
Gungunaa Kar Meri Jawaan Ghazlain
Jhoom Jana Koi Zaroori Tha ?
Mujh Ko Paa Kar Kisi Khayaal Mein Guum
Chhup Ke Aana Koi Zaroori Tha ?
Uff Wo Zulfain, Wo Naaganain, Wo Hansi
Yun Daraana Koi Zaroori Tha ?
Aur Aisay Eham Mazaaq Ke Baad
Rooth Jaana Koi Zaroori Tha ?
 
 ------------------------------------------------------------------------------------
 
Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,
Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko,
Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?
Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko
Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,
Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,
Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
Kyun Na Mein ‘Jhon’ Mita Doon Os Ko ?
 
 ------------------------------------------------------------------------------------
 
Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa
Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa
Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men
Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa
Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
Aik viiraan haal chhor gayaa
Zaala-baarii ke marhalon kaa safar
Qaafile, paayemaal chhor gayaa
Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa
Main bhii ab khud se huun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

 ------------------------------------------------------------------------------------

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho
Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho
Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin
Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho
Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ?
Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho
Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ?
Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho
Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi
Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho
Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee
Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?
 
 
 ------------------------------------------------------------------------------------
 
Hai yeh baazaar jhoot ka bazaar,
Phir yehi jinss kyun na tolain hum,
Karke ik doosre se ehd-e-wafaa,
Aao kuch der jhoot bolain hum..
 
 ------------------------------------------------------------------------------------
 
Naya ek rabt paida kyun karein hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum
Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri
Koi humgama barpa kyon karain hum
Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum
Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa?
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum
Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum
Hamari hee tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum
Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay
To saari umar iifa kyon karain hum
Nahi dunya ko jab parwah hamari
To phir dunya ki parwah kyon karain hum
Barehna hain sar.E.Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karain hum
Hain baashinday issi basti k hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karain hum
Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karain hum
Ye basti hai muslamaanon ki basti
Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum

 ------------------------------------------------------------------------------------

 

 
 
 
Previous
Next Post »

ConversionConversion EmoticonEmoticon

Note: Only a member of this blog may post a comment.