be-qarari si be-qarari hai

 

be-qarārī be-qarārī hai

vasl hai aur firāq taarī hai

jo guzārī na sakī ham se

ham ne vo zindagī guzārī hai

nighare kyā hue ki logoñ par

apnā saaya bhī ab to bhārī hai

bin tumhāre kabhī nahīñ aa.ī

kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai

aap meñ kaise aa.uuñ maiñ tujh bin

saañs jo chal rahī hai aarī hai

us se kahiyo ki dil galiyoñ meñ

raat din terī intizārī hai

hijr ho visāl ho kuchh ho

ham haiñ aur us yādgārī hai

ik mahak samt-e-dil se aa.ī thī

maiñ ye samjhā tirī savārī hai

hādsoñ hisāb hai apnā

varna har aan sab baarī hai

ḳhush rahe ki zindagī apnī

umr bhar umīd-vārī hai

Previous
Next Post »

ConversionConversion EmoticonEmoticon

Note: Only a member of this blog may post a comment.