hālat-e-hāl ke sabab hālat-e-hāl hī ga.ī
shauq meñ kuchh nahīñ gayā shauq kī zindagī ga.ī
terā firāq jān-e-jāñ aish thā kyā mire liye
ya.anī tire firāq meñ ḳhuub sharāb pī ga.ī
tere visāl ke liye apne kamāl ke liye
hālat-e-dil ki thī ḳharāb aur ḳharāb kī ga.ī
us kī umīd-e-nāz kā ham se ye maan thā ki aap
umr guzār dījiye umr guzār dī ga.ī
ek hī hādsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahīñ kahī ga.ī baat nahīñ sunī ga.ī
ba.ad bhī tere jān-e-jāñ dil meñ rahā ajab samāñ
yaad rahī tirī yahāñ phir tirī yaad bhī ga.ī
us ke badan ko dī numūd ham ne suḳhan meñ aur phir
us ke badan ke vāste ek qabā bhī sī ga.ī
mīnā-ba-mīnā mai-ba-mai jām-ba-jām jam-ba-jam
nāf-piyāle kī tire yaad ajab sahī ga.ī
kahnī hai mujh ko ek baat aap se ya.anī aap se
aap ke shahr-e-vasl meñ lazzat-e-hijr bhī ga.ī
sehn-e-ḳhayāl-e-yār meñ kī na basar shab-e-firāq
jab se vo chāñdnā gayā jab se vo chāñdnī ga.ī
ConversionConversion EmoticonEmoticon
Note: Only a member of this blog may post a comment.